Tuesday 19 August 2014

Tumne jo meri kabr par


Tumne jo meri kabr par, aakar yun muskura diya
Bijli chamak kar gir padi, sara kafan jala diya��
Main so raha tha chain se, yun hi kafan e mazaar mein,
Yahan bhi sataane aa gaye, kisne pata bata diya��
Tumne chadhaye phool to, ehsaan kya kiya
Humne tumhare ishq mein, sara chaman luta diya�..
Pucha na jeete ji kabhi, dard e dil ka haal
Aaye ho kabr par meri, mitti mein jab mila diya�..
Aaye ho mazaar par mere, dekh liya ab mera haal
Thukra ke mere pyar ko, kisi aur ko apna bana diya�.
Ab ho gaya hai ilm tumhein, ek shikayat meri jaan lo
Kiya jo hashar tumne mera, apno ko begana bana diya�.
Main to kafan mein hoon ab, meri baat aur hai,
Karna na unka haal wo ab, jo haal mera tumne bana diya�.
Tumne jo meri kabr par, aakar yun muskura diya
Bijli chamak kar gir padi, sara kafan jala diya�..!!

No comments:

Post a Comment