Wednesday 24 September 2014

BEWFA COLLECTION

1.KUCH TO HY TU BADAL GYA HY!
.
Wo teri ankhon k khawb sary wo batin sari hisab sary swal sary
Jwab sary
Wo khushain sari
Azab sary
nsha tha jo wo utr giya hy,
.
KUCH TO HAI TU BADAL GYA HAI! Jo tery milny ki arzo thi
Jo tujko pany ki justju thi
Hui jo chahat abi shuro thi
Jo teri ankhon main roshni thi jo teri baton ki rangini thi
Jo teri sanson ki tazgi thi
Jo try lehjy main chashni thi wo sra meetha pighal gya hy
.
KUCH TO HY TU BDAL GYA HY”




2.AISA KABHI NA KARNA
Tum rooth jaoo mujhse
Aisa kabhi na karna
Main ik Nazar ko tarsun
Aisa kabhi na karna
Main Pooch Pooch haarun
So so sawaal kar ke
Tum kuch jawab na do
Aisa kabhi na karna
Mujhse hi milke hasna,Mujhse hi milke rona
Mujhse bichard ke jee lo
Aisa kabhi na karna
Tum chaand banke rehna
Main dekhta rahunga
Kisi roz tum na niklo
Aisa Kabhi na karna
Tum chale jaoo
Jab bhi to dekhun tumhara raasta
Tum loat ke na aaoo

AISA KABHI NA KARNA


BEWAFA

Hamein Pata Tha K Teri Muhabat K
“Jaam” Mein “Zehar” hai ”
BEWAFA
Lekin.!
Tere Pilany Mein Khaloos itNa Tha k
HuM Thukra Na Skay… !
————————————–
Assa Nahi k Shaks acha nahi hey woh
Jesa mery kheyal mein tha wasea nahi hey woh
Takhleeq asman pey mery leya howa
Mana k iss zameen per mera nahi hey woh

Teri rooh mehsoos karte hain

Kiase tumhe batayen, Tumhe kaise yaad karte hain
Kehkasha mein kahin tera chehra talaash karte hain,
Dekhte hain aks Phoolon me tera
Kushboo mein teri rooh mehsoos karte hain,
Shabnam mein teri chhuan ki kashish
Khilti kaliyon me teri sadaa sunte hain,
Kaise tumhe batayen tumhe kaise yaad karte hain,
Har dastak pe hone ki hasrat
Har aamad pe teri doorie ka dard sahte hain,
Kisi Talaash me bhatakti dhoop bhi har shaam dhal jaati hai
Tere intezar mein hum shab-o-sehar pe yakeen kahaan karte hain. 

Saturday 20 September 2014

HEART TOUCHING LOVE STORY........YOGESH KUMAR YADUVANSHI


aao hum ek khani tumko sunayenge...
mohabbat kitni beraham hai tumko btayenge...

ek baar ek ladka tha jo pyar kisi se karta tha...
ladki bhi use chahti thi magar uska dil kahne se darta tha...

aise hi mulakato ka silsila badhta rha...
dono ke dil me pyar palta raha...

ek din ladke ne mohabbat ka izhar kar diya...
jo tha uske dil me ladki se wo sab kah diya...

ladki ne bhi sharam se ankhe jhuka li...
ladke ne ladki apne gale se laga li...

din guzrte gye pyar badhta gya...
ek dusre ka pyar un dono ke dil me ghar karta gya...

achanak se ek din ladke ne ladki ko bulana chhod diya...
ladki ki khushio ne mano us se muh hi mod liya...

ladki ghar uske jati milne ke liye use manati...
magar wo inkar kar deta ladki ko ghar se bahar kar deta...

ladki ke dil me bhi ab thoda gussa sa agya...
use na bulane ka ladki ne man bna liya...

kuchh waqt bita to ladki ki shadi kisi doctor se hogyi...
sare sapne liye ladke ke liye wo bhi roti huyi ghar se wida hogyi...

dhire dhire ladki apne ghar ke kam kaj me kashroof hogyi...
yaad to ab bhi aati thi magar ab jan bhoojh kar wo girhasti me khogyi...

ek din wo apne pati ke sath uske hasptal pahuchi...
ladke ki maa ko dakhi ek kamre me wo buri tarah chunki...

ladke ka baap kamre ke bahar khda tha...
uska haal ek dam bura sa lag rha tha...

ladki ko dekhte ladke ka baap pahchan gya...
magar muh fer kar us se wo ban anjan gya..

magar ladki ne bhi jaa kar unhe bula liya...
baap ki aankho ne hal sara ladki ko smjha diya...

usne puchha ke ye kya majra hai...
maa kio andar padi hai aapka muh kio utra hua hai...

ladke ke bare me bhi wo puchhe ja rahi thi...
baap ki ankho se barsat ho rahi thi...

ladki ki zidd ke aage use jhukna pada...
shuru se ab tak ka haal use kahna pada...

darasal ladke ke dimag me ek tumar hogya tha...
wo din pe din zahar ki tarah uske andar khogya tha...

wo chahta nhi tha ke ladki ki zindagi barbaad hojaye...
mere marne ke baad wo mere hi khyalo me kho jaye...

isi liye usne ladki se achanak milna chhod diya...
na chahte huye bhi ladki se muh ko mod liya...

ek din ladka tumse milne bhi gya tha...
dekha tumhari shadi hai to wo laut aaya tha...

dhire dhire uske tumar ne uski jaan le li...
ye sadme ki baat uski maa ne na jheli...

kuchh din pahle ladka tumhara naam lete huye mar gya...
ek khat pada tha uske kamre me jo wo tumhare naam kargya...

uske hi shok me uski maa hasptal me padi hai...
bete ke liye dekho aaj mujhe akela kiye ja rahi hai...

sunte hi itni baat ladki behosh horhi thi...
dil fat rha tha uska aankh uski ro rahi thi...

ghar jate hi usne dawa ke naam pe goliya zahar ki kha gyi...
jo wade sath jeene marne ke kiye the wo unhe nibhagyi...

mohabbat apna rang dikha gyi...mohabbat apna rang dikha gyi.

Monday 15 September 2014

SUNA HAI-YOGESH KUMAR YADUVANSHI


Suna hai log use aankh bhar ke dekhte hain
Uske shahar mein kuchh din thahar kar dekhte hain

Suna hai rabt hai usko kharab halon se
so apne aap ko barbad karke dekhte hain

Suna hai dard ki gahak hai chashm-e-naaz uski,
so ham bhi us ki gali say guzar kay dekhte hain,

suna hai us ko bhi hai sher o shayari se jajab,
so ham bhi mujay apnay hunar kar dekhtay hain,

suna hai bole to bato se phool jhadte  hain,
yeh bat hai to chalo bat kar kay dekhte hain,

suna hai rat bhar ue chand takta hai,
sitare bhi utar falak se use dekhte hai

suna hai din ko use titliyan stati hain,
suna hai rat ko jugno thahar ke dekhte hain  hain,


suna hai us ki syah chashmagi qayamat hai,
so usko surmah faroosh aah bhar kay dekhtay hain,

Suna hai us ke laboun say ghulab jalte hain,
so ham bahar pe ilzam dhar kay daikhte hain,

suna hai aaina tamsaal hai jabeen us ki,
jo saada dil hain use ban sanwar kay daikhte hain,

suna hai us k badan ki tareash aisi hai,
k phool apni kabayen katar kay dekhte hain,

bas ik nigaah main lut’ta hai qaafila dil ka,
so rah rawan e tamanna bhi dar k dekhte  hain,

rukay to ghardishain uska taqaaf karti hain,
chalay to usko zamane theher k dekhte hain,

kahaniyan hi sahi, sab mubalghay hi sahi,
agar yeh khwab hai tabeer hai tabeer kar kay daikhte hain


ab us ke sheher main thehrein ke kooch kar jayen,
Faraz aao sitare safar kay daikhte hain,

BAARISHH- YADUVANSHI


Kal halki halki barish thi,
Kal sard hawa ka raqs bhi tha.
Kal phool bhi nikhre nikhre the
Kal un pe aap ka aks bhi tha..
Kal badal kaley gehre the,
Kal chand pay lakhon pahre the
Kuch tukray aap ki yaad ke,
Bari der se dil me thehre the..
Kal yaadein uljhi uljhi thi,
Aur kal tak yeh na suljhi thi..

Kal yaad bohut tum aye the,
Kal yaad bohut tum aye the.

Mirza Ghalib



1) Sad Mirza Ghalib Shayari in Hindi
Woh raat dard aur sitam ki raat hogi,
Jis raat rukhsat unki baraat hogi,
Uth jata hu me ye sochkar nind se aksar ki
Ek gair ki baaho me meri sari kayanat hogi

2) Best Mirza Ghalib Poetry Quotes
Dukh de kar sawaal karte ho,
Tum bhi ghalib kamaal karte ho.
Dekh kar pooch liya haal mera,
Chalo kuch toh khayaal karte ho,
Shehar-e-dil me ye udasiya kaisi..?
Ye bhi mujhse sawaal karte ho.
Marna chahe toh mar nahi sakte,
Tum bhi jeenaa muhaal karte ho..

Ab kis kis ki misaal doon tumko ?
Har sitam be-misaal karte ho….!!!

AGGAR

Agar rukne lage sanse meri to, mere paas aa jaana,
Apni god me rakhker sir mera mujhe sehlana,
Kuch pal hi sahi hm sari tanhai ki dastan bayan kr dege
Fir meri kahani sunker thoda gumsum ho jana
Rona mat warna humein bhi rona aa jayega
Bs ek baar muskura kar pyaar se hume sula jana

Wednesday 20 August 2014

कविता सा कोई अपना


अंजानी सी है वो,
कोई हकीकत या कोई सपना,
है प्यारी सी ग़ज़ल वो,
या कविता सा कोई अपना,
गीत है दिलों का,
या चांदनी से सजी कोई रात,
वो मुस्कुराहट है चहरे की
या भीगी हुई बारिश का साथ,
प्यार से सजा कोई गीत है
या दो दिलों के मिलने का अंदाज़,
रंग है वो खुशियों का
या सुरों से सजा कोई साज़,
संगेमरमर सी है काया जिसकी
है बेपनाह खूबसूरती से सजा ताज,
तस्वीर है किसी कलाकर की
या कल्पना का कोई ख्वाब,
आँखें हैं गहरी झील सी
या ठहरे हुए जज़्बात,
ज़ुल्फ़ों में सजे हैं सितारे हज़ार
या जादू चला है हुस्न का बेशुमार
अंजानी सी है वो
या कविता जैसा खूबसूरत एहसास कोई अपना.


मेरा यार


उनकी आँखों में सजे काजल के दीवाने हो गये
उनकी प्यार भरी मुस्कुराहट के घायल हो गये
बन के जो मिले थे अजनबी उनकी अदा के दीवाने हो गये
नींद चुरा ली आँखों की,ख्वाबों में शामिल हो गये
जो थे बेगाने किसी पल आज वो दिल से अपने हो गये
करने लगे बातें तन्हाई में,दीवाने से हो गये
रखा जब उन्होने हाथ हमारे दिल पे धड़कन को भी चुरा ले गये
कुछ ग़ज़लें लिखने लगे,कुछ कवितायें भी बन गयी
देख के उनकी खूबसूरती प्यार भरी नज़्में भी कुछ बन गयी
वो मुस्कुराये इस कदर की ये फिज़ायें भी उनसे जल गयी
मेरा यार मेरा प्यार है खूबसूरत बेपनाह इतना
कि मेरी नज़रें भी उनकी खूबसूरती पे थम गयी