Sunday 26 May 2013

CHUBHAN

Dil mein ik chubhan si hai,tum kaheen se aa jaao
Har taraf agan si hai,tum kaheen se aa jaao
.
.
Gham ki bheegi raaton mein apna dil nahin lagta
Aankh mein pawan si hai,tum kaheen se aa jaao
.
.
Ab khuli fiza mein bhi saans laina mushkil hai
Ab ajab ghhutan si hai,tum kaheen se aa jaao
.
.
Har khayyal-o-khawab par murdani si chhaai hai
Rooh par shikan si hai,tum kaheen se aa jaao
.
.
Hijr k andheron mein intezaar hai tera
Dil mein ik kiran si hai,tum kaheen se aa jaao

DARD

Sham K Parindon Ki Terha Loat Ate Hm Bhi
Muntazir Agr Koi Hamara Hota
Chand Taron Ki Talab Kise Thi
Bs Roshni K Liye Aik Sitara Hota
Hm Mai shayed Koi Kami Thi
Zaroor Koi Tarfdar Hamara Hota
Dunia K Logon KI Tamana Kise THi
Hm Ne Chaha Bs Aik Shaks Ko
Kash Wo Hamara Hota

KALPNA

APNA DIL PESH KAROON APNI WAFA PESH KAROON,
KUCH SAMAJH ME NAHI ATA TUJHE KYA PESH KAROON,
TERE MILNE KI KHUSHI ME KOI NAGMA CHHEROON,
YA TERE DARD KI JUDAAI KA GILA PESH KAROON,
MERE KHABON ME BHI TU MERE KHYALON ME BHI TU,
KONSI CHEZ TUJHE TUJHSE JUDA PESH KAROON,
JO TERE DIL KO LUBHA LE WO ADA MUJHME NAHI,
KYON NA TUJHKO KOI TERI HI ADA PESH KAROON

Saturday 25 May 2013

REAL LOVE STORYBY YOGESH KUMAR YADUVANSHI


REAL LOVE STORY FOR THOSE PERSON WHO NEVER TRUST THEIR PARTNER AND PAY A BIGGEST COST FOR THAT-



kabhi pyar kiya par shayad bharosa kar liya hota to do zindgi barbad na hoti,waqt hai 1996 ka ek ladka KANHA apne ma-papa ke sath jabalpur mein kadam rakhta hai,tarikh wohj aaj b na bhula hoga 23 june 1996 ka din ganganagar jabalpur ka rahwasi bane,pas ke hi ek school mein pitaji ne dakhila dilwa diya,woh school us 9 saal ke ladke ka turning point bana,12 july 1996 ko pahli bar school ki kaksha CHATURTH mein kadam rakha ,didiji mrs. vinita sachdeva par nazar na padkar ek cute moti si bachchi par nazar pad gayi,bas kya tha ,bachpan mein hi pyar kar baithe KANHA ji,ab bat ainse to suru hogi nahi ,fir bhi dimag tha hajiri lagte samay name pata kiya RADHA name mila,bas baju wali desk par baithte -baithte dekhte dekhte saal gujar diya,ab kaksha PANCHAM mein pahunch ladka avval aya aur bat suru ki,achcha laga ,koi mila hai,6th avval chahat ne dilaya,aur kaksha SAPTAM mein woh din aya ,jo shayad ana hi nahi tha,radha ji ne kisi aur se ijhar kar diya us wali umar mein,aur hamare KANHA ji anadar hi andar toot gaye,radha ji ka pyar gopi bana,aur fir kya tha ek ijjatdar school ke liye ye baat apmanjanak sabit hui,aur radha ji se bat karna hi band kar diya na sirf class ne balki swayam unke gopi ne,samay badhta ja raha raha tha,lekin KANHA top jaise vardan lekar hi aaye the ki RADHA unki hai aur rahegi,kaksha dasham mein pahunchkar kuchh ye pata chala KANHA fir avval aye lekin ab woh khushi nahi,kaksha EKADASH mein vishay parivartanm hua ,aur shayad radhaji ko pata chala ki KANHA ki pasanmd hain woh,ab radhaji ji asmanjas mein thi ,lekin kuchh to karna tha ,kyunki kanha unke pakke sakha ban chukle the,aur radha ji ne wahi kiya jo ek samajhdar ladki ko karna chahiye tha,

school ke din khatm hue ,KANHA ji dropper hue ENGINEERING ki taiyari ke liye radha ji b.com,aur gopi b. sc,aur achanak ek din coaching se lout te waqt nazar takrai,dono ruke kuchh bat hui to number liya woh samay tha 27 aug 2005,bas batcheet ka dour jari tha,KANHA kisi achche SHASKIYA ABHIYANTRIKI MAJHAVIDYALAYA mein dakhila le chuke the,aur 23 nov. 2006 ko pahli bar ijhar kiya ,aur radhaji ka uttar kuchh yun tha-"ghar walo ke khilaf kabhi nahi ja sakte hum woh hamari jaan le lenge humein muaff kardo KANHA"shayad ye sach bhi tha,lekin kanha gopi-radha ke liye galat fahmi bana chuke the,agali mulakat kachhpura pul par 29 sep. 2007 ko9 hui kanha ka janmdin,ek dairy milk di gayi,shaya woh aaj bhi KANHA apni diary mein rakhta hai,
lekin kanha ka bewkoof dimag ye samjh nahi pa raha tha ki woh kya kare,kyunki man mein galat fahmi banakar baitha tha,shayad woh ye bhi na janta tha ki KANHA ki MOHABBAT ke karan woh gopi ko rakhi bandh chuki lekin kanha ko sweekar nahi kiya hai abhi tak,

9 june 2010 ko woh waqt aya ki dono (KANHA-RADHA) movie dekhne gaye ,lekin kanha ka dimag na jane kya soch raha tha,aur woh akhiri mulakat 17 july 2010,jab radhaji n saf-saf kah diya ki kanha tum meri jindgi se chale jao,aur kanha wahan se hat gaye ye saoche bina ki shayad koi majboory hogi,(majboory shayad ye thi ki radha ghar se mar khakr aayi thi,) lekin kanha sirf apna swarth dekh rahe the aur,bhala bura bolkar wahan se hat gaye,

kanha ko ek badi ANTAR RASHTRIYA compny ne select kiya,aur waoh chjala gaya bina bataye ,aur achcnak ek din sandesh aya kanha humse na miloge,aur kanha noukri chhodkar wapas aa gaye,lekin unke man mein galatfahmi ghar chuki thi,woh jab bhi unko garha bajar road par jate dekhte to unko lagta ki woh gopi se milne jati hai ,lekin sachchai kuchh yun thi ki us ladki aaj tak us ladke ka ghar nahi dekha hai,usne keval us waqt par gopi se mili jab gopi ke pita ji ka dehant hua tha,lekin us m,anhus ghadi par hi kanha ki nazar unpar pad chuki thi,ye dour 2007 ka tha aur kanha is galat fahmi ke karan bahut bade chain smoker aur bahut bade drinker banke ubhare,

yahan par haal ye tha ki kanha radha ji ko muh par gali bak rahe the is galat fahmi ke karan aur dosto se bhi ulta seedha bolna,bas aur kuchh nahi mujhe dhoka diya mujhe dhoka diya,ladki gandi hai,ye woh jamane bhar ka,kanha ki drink itni badhi ki ek din unka lever kharab hua,

aur 3 saal bad achanak ek msg 14 may 2013 ko aya,KANHA I LOVE YOU ,WILL YOU MARRY ME,
aur dono mile to is galat fahmi ka ye natija hua ki kanha ne na sirf apni zindgi barbad ki balki radha yahan par ghut-ghut kar mar rahi thi,aur dil ki mareej ban chuki thi,HEART PATIENT ban chuki thi,ki do bhai bahan ban chuke dost par shak kiya,
natija ye tha ki radha ka kanha daru-cig. ka sevan karne laga tha jiska asar na sirf kanha par pad raha tha balki is kahani ,mein radha ka part nibhane bali ladki par b pad raha tha aur usne kasam kha li thi ki kanha se kabhi na milna hai na bat karni hai,lekin shayad khuda sachcche pyar karne walon ko milata hai,yahan par mahan radha hui,kunki woh janti thi ki unka kahnha kisi aur ladki ke chakkar mein bhi pad chuka tha kuchh samay ke liye,

Abhi kahani khatm kahan hui thi, KANHA pareshan ye sochkar ki chal kya raha hai.ek bar phone lagaya jaise taise jabardasti hi sahi…….
28 july 2013 sham 5:30
Tringgg
Tringggg
Hello
KANHA-mein KANHA bol raha hoon
RADHA-wrong number
KANHA-ok bye,
RADHA-ruko ghar ka mahol bahut kharab hai,plz is waqt phone mat laga mein raat mein lagaungi ,mujhe bahut mar padi hai,mera phone tod diya,aur ye ghar ka number hai,plz mat lagana
KANHA-ok mein intzar karunga
Usi raat 1:35 min
Tringgg
Tringggg
Hello koun
Mein RADHA
Mein KANHA
KANHA-kahan ho baba,kya hua ghar par
RADHA-aaj ke baad phone mat lagana ,tum bahut gande ladke ho,ghar wale bol rahe the ki tum juaa khelte ho,satta khelte ho aur bahut ganda ganda bol rahe the
KANHA-ye sab jhooth hai woh  log tumko bahka rahe hain ,aur tum bahak rahi ho,mein sharab pita tha lekin tumne kaha to maine chhod di,pagli mein juaa satta kyun khelunga
RADHA-nahi tum jhooth bol rahe ho,
KANHA-ok ,mein jhooth bol raha hoon,fir to ye bhi jhooth hai ki mein tumse pyar karta hoon,aur ye bhi jhooth hai ki maine tumhare liye kai kurwaniyan di hai na?
RADHA-sach bolo tum ye sab nahi karte na
KANHA-nahi baba tumhari kasam
RADHA-I love you
KANHA-I love you too
RADHA-mere ghar wale kabhi nahi manenge
KANHA-tum chaho to sab mumkin hai,tum hi sath chhod dogi to mein akela kya kar lunga
RADHA-mujhe chhod do
KANHA-agar tum ye kahdo ki mein tumse pyar nahi karti to chhod dunga,pakka
RADHA-nahi,I love you
KANHA- to mein tumhara wait karunga
RADHA-jab tum lout ke aaoge to mein tumse milungi
KANHA-mein us pal ka intzar karunga
RADHA-mummy jag gayi hain mein rakhti hoon,
KANHA-haan baba so ja ,
RADHA-mujhe jab bhi waqt milega mein phone lagaungi
KANHA-ok love you
RADHA-love you too, bye

Lekin agle hi din un gandi bato ka gussa KANHA bardast kar nahi paye aur RADHA ki maa ko phone laga kar na sir fool jaloon bol diya balki ye bhi bata diya ki raat ko dono ki baatein hui,is baat ka gussa RADHA par jam kar barpa,aur fir uske baad kabhi baat nahi hui dono ki,KANHA ka tension mein dimagi santulan bigad gaya aur noukri chhoot gayi,jisko RADHA ke ghar mein kuchh yoon bataya gaya ki,KANHA ne kabhi noukri ki hi nahi,

Khair in sab cheejo ko KANHA ko koi fark nahi padne wala tha,who keval apne ma-baap ki nazron aur RADHA ki nazron se darte the aur jamane ki parwah nahi karte the,

Lekin KANHA ke halat gambhir hote ja rahe the,hath mein noukri nahi aur ghar se bahar rah rahe the,makan ka kiraya,khane ka bill, kapde aur unke khud ke kharch,musibatein badhti ja rahi thi,kafi din ho gaye musibate badhti gayi ,kyunki woh  ghar walon se kuchh kah nahi sakte the,aur na chahte hue unhone MAIKHANE mein baira ki noukri karke apna kharcha c halane ki sochi aur usmein safal rahe,ab ek BAHU RASHTRIYA  COMPANY ka Engineer ek MAIKHANE mein noukari kar raha tha,

29 september 2013 KANHA  ka janmdin,socha shayad is din RADHA  ka phone aayega ,lekin ainsa nahi hua,balki KANHA ne jab contact karne ke liye prayas kiya to unko keval gandi gandi galiyon ka samna karna pad raha tha,aur samajh mein ye nahi aa raha tha ki  kya RADHA ko ye sab pata nahi chal raha hai,aur anise karte karte din kat te chale gaye,aur KANHA ki halat aur gambhir hoti gayi,aur na sirf tabiyat balki noukri na hone ke karan ijjat bhi kharab ho rahi thi,charo taraf se pareshan KANHA  ke paas marne ke alawa koi dusra rasta nazar nahi aa raha tha ,lekin usne apni sthiti ko sudharte hue  bahut kuchh sudhara aur zindgi aage chalne lagi,

Navratri ka antim din APRIL ka maah dono ka takrao mandir mein hua  KANHA ne socha shayad RADHA baat karegi,lekin ainsa nahi hua ,KANHA ne socha shayad maa sath mein hai isliye ainsa ho raha hai,leklin ainsa usdin kai dafa hua,tab KANHA ko kuchh gadbad nazar aayi,ki KANHA uttrakhand se Jabalpur aa gaye apni RADHA ke liye ,apni ijjat khoyi ,paisa khoya,noukri khoi,logo ki galiyan suni,ghar walon ki nazron mein gire sab kuchh hua aur RADHA  unse baat tak nahi kar rahi hai,aur unhone RADHA ko unke haal par chhod diya ,lekin baat yahan kahan rukne bali thi,yahan npar kisi teesre shaks ke dwara bahut badi GALATFAHMI paida ki gayi thi,KANHA  na sirf pareshan the balki dukhi bhi the ,aur unke samajh ye nahi aa raha tha ki ye sab itna galat chal kyun raha hai,unki MUHBOLI bahan jo ki RADHA  ki bahut achchi dost hai who bhi unse door thi ,na  sirf dooriyon mein balki halat kuchh anise the ki unki bahan SIDHDHI aur unke beech paiso ko lekar vivid chal raha tha ,aur SIDHDHI iske liye KANHA ko doshi maan rahi thi,aur KANHA apne aap ko begunah saabit nahi kar pa rahe,isliye SIDHDHI unse door thi,aur baat tak karna pasand nahi kar rahi thi,

KANHA Jabalpur mein bhale hi the lekin halat kuchh yun the ki jo log kabhi unke liye jaan dene ke liye taiyar rahte the woh bhi unka saatha chhod chuke the,aur is PREM-PRASANG ka majak banaya ja raha tha,jagah jagah beijjati ka shikar ho rahe the KANHA apni RADHA ke VIYOG mein lekin RADHA ka unse Milan nahi ho pa raha tha ,

Man mein bure bure khayal bhi aa rahe the,aur phir wohi sthiti ban rahi thi jo ki 2012 mein hui thi,ki KANHA logo ke beech apni RADHA ko bhala bura bolne lage ,aur gandi gandi gaaliyan bolne lage ,kyonki unko na sirf bura lag raha tha balki RADHA ke ooper KRODH bhi aa raha tha ,aur bahut kuchh ganda ho raha tha unke saath,jiska vayan woh kisi ke saath kar bhi nahi pa rahe the ,bas man hi man ghut rahe the aur apni RADHA ka intjar kar rahe the.

Yahan par unko pata chala ki RADHA ke pitaji TANTRIK vidya mein nipun hain,aur is vidya ka prayog karke unhone RADHA ki smriti se KANHA  ka vichar nikal diya hai,aur yahi hua ,aaj KANHA apne Jabalpur mein vaapas aaye aur kai baar RADHA se baat karne ki koshish ki lekin unka koi jabab nahi,balki pahchan ne se inkar kar diya………………………………….TO BE CONTINUED



Friday 24 May 2013

DESHBHAKTI

Deshbhakt sainik ke liye parivar ki bhavna

ek bar ek sainik ladte ladte sarhad par apna sir katwa deta hai 

ab uske liye uske ghar wale kya sochte hain 
mein kavita mein vayan karta hoon

Babul ka pyar bhoola dadi ka dular bhoola motiyon ki mala meri ajtak na laya

holi ke rang bhoola deep ke umang bhoola rakhi ke tyohar bar bar bisar aya hai

bhabhi mera bhaiya janm se bhulakkad tha aaj usi adat ko fir se dohraya hai

jate samay Mata ka ashish lena bhoola tha
ate samay rann thal mein sheesh bhool aya hai

GUNAAHGAR

Gar Gunahgar tha mai to Saza di hoti,
Koi to Mujhe Jeene ki Wajah di hoti,

Na Manzil Na Mukaam, Na hi koi Safar,
Di hoti koi Wajah Chahe Bewajah di hoti,

Ji Paata nahi hu, Main Mar bhi nahi Paata,
Aakhir kuch to Mere Marz ki Dawa di hoti,

Kya Soch kar banaya tha Mujhko E Khuda,
Zindgi di to koi Jeene ki Ada di hoti,

Mita de Ab Mujhko Yu Mazaak na bana,
Seh leta har Saza gar Khata ki hoti..