Saturday 27 October 2012

MATLAB

Mujhse matlab na puch aye matlabi yaar,
tere matlab ne meri zindagi tabah ki hai,
mai jis aashiyane me rahta tha tere samne,
tune us puri basti ko mere samne uzad di hai...........................
kuch kahte the kasoor raha hoga tera shayad,
maine apne aapko har waqt bekasoor paya hai,
jin gunaho se baksa hai tune mujhe,
un gunaho ki khushi tere chehre pe dikhayi di hai...........................
aaj barish bhi kuch ghar chhodkar girti hai,
unhe bhi pata hai mera ghar bikhar raha hai,
teri ulfato ne behosh kar diya hai mujhe,
jane kya zalim tune mujhe behoshi ki dawai di hai..

yadi ek bar mail na payu..

In suni si aankho me,
kya chahat k sapne sajayu,
ki itna chahkar bhi tujhse,
yadi ek bar mail na payu....................................
tujhe pane ki aas me,
har pal apni bahein failayu,
tujhe muskurata hua dekh,
mai khud ko bhi bhool jayu,
ki itna chakar bhi tujhse,
yadi ek bar mil na payu......................................
roshni ki aad me mai,
andhero se lad jayu,
tujhe apna hota dekh mai,
khushi se jhoom jayu,
ki itna chakar bhi tujhse,
yadi ek bar mail na payu....................................
teri masumiyat pe mai,
kuch apna pyar jatayu,
ki teri har ek khushi ke liye,
mai khud ko bhi maar jayu,
ki itna chahkar bhi tujhse,
yadi ek bar mail na payu...............

KAYNATH

Jhuke - jhuke s jazbat hai,
pighle - pighle se khyalat hai,
ainsi rah pe na bhejo mujhe,
jaha tumhari yado ki sougat hai.........................................
aaj apna nasib kuch tumse kah raha hai,
tum mere bano ye sapna bun raha hai,
kahte hai aasma talak koi nhi pahucha hai,
tum mere dil ke khilte phool bano,
ye un badlo ki barsat hai..................................................
bahakta man bhi kuch chahta hai tujhse,
tum mere man me baso ye mangta hai tujhse,
tumhare dil pe dil mera fida hai shiddat se,
ye mere badalte dil k mijaz e halat hai....................................
bahare pata dhundti hai apne sathi ka,
unhe pata nhi unka sathi mere paas hai,
mai bhatakta tha akele jiski talash me,
wo khade hai aaj mere samne jisme puri kaynat hai

Wednesday 10 October 2012

PARINDA-

ek parinde ki bhi ek kahani hoti hai,
kabhi uski bhi koi jawani hoti hai,
yun to use log kah dete hain awara,
magar kbi ye uski bhi nadani hoti hai,

chahat to use bhi us dal ko pane ki hai,
jaha uski koi nishani hoti hai,
par woh badkismat bhi kya kare,
har rah par kisi k hath mein khanjar kisi ke hath katari hoti hai,

aas to lagata woh bhi hai ki ek din manjil ko pa jayega,
lekin woh bechara kare kya jb manjil hi door jani hoti hai
jab manjil hi door jani hoti hai