Wednesday 10 October 2012

PARINDA-

ek parinde ki bhi ek kahani hoti hai,
kabhi uski bhi koi jawani hoti hai,
yun to use log kah dete hain awara,
magar kbi ye uski bhi nadani hoti hai,

chahat to use bhi us dal ko pane ki hai,
jaha uski koi nishani hoti hai,
par woh badkismat bhi kya kare,
har rah par kisi k hath mein khanjar kisi ke hath katari hoti hai,

aas to lagata woh bhi hai ki ek din manjil ko pa jayega,
lekin woh bechara kare kya jb manjil hi door jani hoti hai
jab manjil hi door jani hoti hai

No comments:

Post a Comment