Friday 30 March 2012

WAQT BY YOGESH KUMAR


WAQT MERE HATHON SE RETH KI TARAH NIKAL JATA HAI,
JISE MEIN SARANKHON PAR RAKHTA HOON AKSAR WOH FISAL JATA HAI

KAHTE HAIN LOG MAT KAR MOHABBAT PATTHAR SE,
ARE PYAR MEIN TO PATTHAR BHI PIGHAL JATA HAI

CHAHAT RAKHTA HOON USE MANANE KI
PAR AB TO WOH MERI CHAHAT BHI NIGAL JATA HAI,

ROOH ME BASA HAI WOH MERI IS TARAH,
KI AB TO MERE HATH MEIN PANI BHI THAHAR JATA HAI,

VATAN KI TEESH-

woh jise apna desh kahte hain,
aaj usi ko nochte rahte hain,
aur is siyasat ke khel me uski ijjat ko taulte rahte hain,
sone ki is chidiya ke pankh patjhad ki tarah gaye,
aur in siyasat balon mein kaiyon ke ghar sanwar gaye,
mera mulk ,mera desh mera vatan ye kahte hain, aur usi desh ko benchkar mahlon mein ye rahte hain,
ab to in thekedaro ko kalmadi ki neeti bhati hai,
ye woh nam hai mere desh ka jisse khud laxmi karja pati hai,

Friday 9 March 2012

WOH PAL.....

mujhe us pal ko bhool jane do,jis pal ko mein kal jeeta tha,
woh yad mujhe karti thi mein,chahat ke aansu peeta tha,
waise to uski saanso mein jinda rehne ki chahat hai,
par woh ruswa karti mujhko,dooje ki usko aadat hai,
mujhe.........

ek pal woh tha jis pal mein hum phoolon se muskate the,
mitti ke ghar bana-bana kr mahlon sa sajate the,
par suna aksar khiley phool ko rajkuwar le jata hai,
bhawra us phool ko dekh door se bas aansu hi bahata hai,
mujhe............

KUCHH TO.........

Kuch to majburiya rahi hongi yuhi koi bewafa nahi hota tatol kar dekho apne dil ko fasla bewaja nahi hota…
`
Teri berukhi ko bhi rutba diya humne. Pyar ka har farz ada kiya humne. Mat soch ke hum bhool gaye hain tujhe; aaj bhi khuda se pehle tujhe yaad kiya humne…
`
Chand lamhon ki zindagani hai, nafraton se jiya nahi karte,
lagta hai dusamanon se guzarish karni padegi, dost to aab yaad kiya nahi karte…
`
Dhoka diya tha jab tum ne mujhe,
Dil se main naraaz tha,
Phir socha ki dil se tumhe nikal dun,
Magar woh kambakth dil bhi tumhare paas tha….
`
Pass aakar sabhi door chale jate hain, Akele the hum akele reh hi jate hain Is dil ka dard dikhayein kise Marham lagane wale hi zakm de jate hain…

MERI KAHANI..


MAINE APNE HAR KHWAB MEIN USE DHOONDHNE KI KOSHISH KAR RAHA RHA ,
KI USNE MERI RAATON KI NEENDEIN UDA DI,
CHAHAT THI US SE MILNE KI HAR PAL,
PAR PATA NAHI USNE NA JANE KITNI SARHADEIN BANADI,
JISKO MANA THA KHUDA,POOJA THA JISKO HARPAL,
AAJ USNE HI MERI SAMADHI BANADI.........
YOGESH KUMAR

AAJ CHAND FIR UDAAS HAI-

aaj meri kalam roti hai,jab dekhti hai ki dharti ka anth pas hai,
neta rajneta kisi se bhi na ab manavta ki aash hai,
dekha jab aasman ko gour se........
dil ne kaha
aaj chand fir udas hai,
jungle ko kata ghar bana daley,
mita diye jivo ke aashiyane,
aaj jahan chati hai karein,
hote the kabhi unke prem fasane,
ab to machhli ko bhi pani ki aas hai,
mera chand aaj fir udas hai,
kahte hain sone ki chidiya desh kabhi ye hota tha,
harishchandra iman k khatir apna beta khota tha,
chandragupt k desh mein ab KALMADI ka nivas hai,
manav ki danavta dekh chand fir udas ha,
aaj.......

AANSHU

Parindo ki shakla me apne armano ko udata hu,
Jo tut-te hai pankh uske,
Mai khud bhi toot jata hu..............
Wo ruk kar jara kuch der,
Mera intezar nahi karte,
Unhe kya pata mai unke intezar me,
Kai sadiya bitata hu....................
Wo meri mohabat ka andaza kuch yun lagate hai,
Mai rota hu unki yadon me,
wo mere khyabo me hanste hai,
Sab kahte hai mai bhul chuka hu use har pal,
Unhe kya pata mai uski yaad me khud Ek Aansu ban jata hu...........

EK JISM DO JAAN.......


WOH MUJHMEIN IS KADAR JINDA HAI KI AB MARNE KA BHI DAR NAHI HAI MUJHKO,
KI IS EK JISM MEIN DO JAAN KAISE RAHENGE,AB TO CHAHAT HAI MAR JANE DO MUJHKO.

DIL ME BASAKAR RAKHA HAI USE,
DARTA HOON KI MERI KOI TEES NA CHUBHE USKO,
IS EK JISM ME DO JAAN KAISE RAHENGI ,
AB TO CHAHAT HAI MARJANE DO MUJHKO,

MAINE APNI HAR CHAHAT MEIN USE JINDA RAKHA HAI,
MERE CHHU LENE SE KAHIN WOH GANDA NA HO JAYE,
AB TO IS JISM KO CHHUNE ME BHI DAR LAGTA HAI,
IS EK JISM MEIN DO JAAN KAISE RAHENGI ,

AB TO CHAHAT HAI MARJANE DO MUJHKO,