Monday 12 November 2012

NAGAR VADHU-YOGESH KUMAR

devi ,desh ki garima,bharat mata aur na jane kitne name humne nariyon ko diye aur shayad dete jayenge.lekin kabhi kabhi jab sach ka parda dekhta hoon to ye shabd bahut jhoothe aur dhundhle nazar aate hain,kabhi RAJA SATYAVAN vale is desh mein nariyo ko devi ki padvi di jati thi,aur ghar ki laxmi kaha jata tha.par kuchh dino se ainsa lagta hai ki shayad woh log to apna kam kar gaye hain ab hum ya to use nibha nahi pa rahe hain ya nibhana nahi chahte hai.
                                                                       
                                                            aaj bharat jis desh mein nariyon ko devi kaha jata tha woh PROSTITUTION mein apni padvi chouthi rakhta hai,jo na sirf kafi sarmnak hai balki chintajanak hai,DELHI ,KOLKATA,MUMBAI,PUNE aur na jane kitne shahar aur jagah hai jahan par ladkiyon ki dalali aur unki deh ka souda kiya jata hai,
hal hi ke sarve ne ye bataya ki mumbai ke ek ilake mein 500 kotho mein 10,000 ladkiyan vaishya vratti ka dhandha karti hain,aur ye to ek jagah ka aankda hai vaki jagah ka hall to aur behal hai,
to be contd................

Monday 5 November 2012

KYUN

koi yeh kaise bataye ki woh tanha kyun hai,
jism apna hai toh rooh be panah kyun hai,

is jahan se us jahan tak sukoon hi nahi,
bekraar meri duniya ki har jagah kyun hai,

raas aai na koi khushi kabhi mujhko,
yeh ek dard phir mere jeene ki wajah kyun hai,

jiski nafrat mein bhi nahi jagah mere jasbaon ki,
uski mohabbat mein zindagi fannah kyun hai,

shauk hai mere hothon ko bahut lafzon ka,
chup rehne ko phir dil ne kahaa kyun hai

Friday 2 November 2012

HASRAT


Waqt-waqt tujhe ye waqt du,
hasrat-hasrat tujhse ye hasrat rakhu,
na sahil ki tamana karu,
na is dariye me doobu,
mohabat-mohabat mai to sirf tujhse mohabat karu....................................
rukh kar kuch is tarah,
ki har rukh ko tujh tak mod saku,
rah ab tu mujhse beparvah,
ki parvah teri mai zindagi se jyada kar saku............................................
chahat-chahat tu kar meri is kadar,
ki tujhse juda ho ke bhi mai juda na l;agu,
fakat-fakat pahal kuch is kadar kar pyar ki,
ki ye thame to bas aakhiri saanso pe thame......