Monday 12 November 2012

NAGAR VADHU-YOGESH KUMAR

devi ,desh ki garima,bharat mata aur na jane kitne name humne nariyon ko diye aur shayad dete jayenge.lekin kabhi kabhi jab sach ka parda dekhta hoon to ye shabd bahut jhoothe aur dhundhle nazar aate hain,kabhi RAJA SATYAVAN vale is desh mein nariyo ko devi ki padvi di jati thi,aur ghar ki laxmi kaha jata tha.par kuchh dino se ainsa lagta hai ki shayad woh log to apna kam kar gaye hain ab hum ya to use nibha nahi pa rahe hain ya nibhana nahi chahte hai.
                                                                       
                                                            aaj bharat jis desh mein nariyon ko devi kaha jata tha woh PROSTITUTION mein apni padvi chouthi rakhta hai,jo na sirf kafi sarmnak hai balki chintajanak hai,DELHI ,KOLKATA,MUMBAI,PUNE aur na jane kitne shahar aur jagah hai jahan par ladkiyon ki dalali aur unki deh ka souda kiya jata hai,
hal hi ke sarve ne ye bataya ki mumbai ke ek ilake mein 500 kotho mein 10,000 ladkiyan vaishya vratti ka dhandha karti hain,aur ye to ek jagah ka aankda hai vaki jagah ka hall to aur behal hai,
to be contd................

No comments:

Post a Comment