Tuesday 29 January 2013

WOH

Din mein titaliyan unki khushboo ko sanwara karti hain,
aur raton mein jugnoo ruk ruk kar unhein nihara karte hain,
unko dekhe to barson ho gaye,
hum to ab tasveer se hi us chand ka deedara karte hain,

dekha humne baag se bhanwre ata pata,
ki banwre bhi unke pas yun mandraya karte hain,

ki asma ki kalima ko dekh yun laga,
ab to chand unki julfon me chhip jaya karte hain

yun basarste asma se maine jo poochh liya,
kyun baras raha hai tu kya khas bat hai,
asma rote hue mujhse kah diya,
chup kar ae besharm teri jaan udas hai,

asma ki chandni ko dekha jo laga,
ki poochlu khuda kya koi khas rat hai,
khuda mujhse hanskar bol utha,
woh saj rahi hai aaj kayamat ki rat hai

No comments:

Post a Comment