Tuesday 29 January 2013

POETRY ON KAWWALI TONE BY YOGESH KUMAR YADUVANSHI-


mein to karta wafa tu hui bewfa,
abto nazrein chhipana gajab ho gaya,

mein tera hamsafar na bana gam nahi,
tera ashiq banana gajab ho gaya,


Teri ankhon ki harkat nazar aa gayi'
tera ansu bahana gazab ho gaya,

yaad aayi teri maikde mein mein tha,
teri yaadein bhulana gazab ho gaya.

Tu jahan mein basa aye mere rahnuma,
dil se dhadkan churana gazab ho gaya,

antim 2 line
tu meri kabr par pahucha kyun bewfa,
ab mujhe DAFNANA gajab ho gaya

No comments:

Post a Comment