Sunday 2 June 2013

AA BHI JAO

Na dekhunga khab wo jis main tum na ho,
Na karunga baat wo jisme tumhara jikr na ho,
Ab aise na mujhe tum tadpao,
Aa bhi jao ab tum aa bhi jao.
Har ek gulista tumhara hoga,
mere har ek sapne pe adhikaar tumhara hoga,
Meri neendon ko ab na churao,
Aa bhi jao ab tum aa bhi jao.
Meri har ek dhadkan main tum ho,
Meri sanshon main ho tum,
Aake meri rooh main bas jao,
Aa bhi jao tum ab aa bhi jao.
Odh ke kafan main so jaunga,
Fir bhi na tum ko bhool paunga,
Mohabbat-E-bafa nibha jao,
Aa bhi jao ab tum aa bhi jao.


CHAND

chhip gaya hai mera chand aj na dikhega mujhe,
abto pura waqt yar kanto sa chubhega mujhe,
rat ki is chandni ko yun andhera kar diya hai
bar asma me kalapan dikhega mujhe
aye khuda is chan ko tu din mein ni dikhata ku hai
har sari ki radha ko kanha se ni milata ku hai
dekhna khuda tu ik din nam tera mit jayega
is dharti pavan par koi prem karne ni ayega
premiyo k liye tera nam lena paap hoga
fir is dharti par prem ek abhishap hoga

yogesh k y