Monday 15 September 2014

SUNA HAI-YOGESH KUMAR YADUVANSHI


Suna hai log use aankh bhar ke dekhte hain
Uske shahar mein kuchh din thahar kar dekhte hain

Suna hai rabt hai usko kharab halon se
so apne aap ko barbad karke dekhte hain

Suna hai dard ki gahak hai chashm-e-naaz uski,
so ham bhi us ki gali say guzar kay dekhte hain,

suna hai us ko bhi hai sher o shayari se jajab,
so ham bhi mujay apnay hunar kar dekhtay hain,

suna hai bole to bato se phool jhadte  hain,
yeh bat hai to chalo bat kar kay dekhte hain,

suna hai rat bhar ue chand takta hai,
sitare bhi utar falak se use dekhte hai

suna hai din ko use titliyan stati hain,
suna hai rat ko jugno thahar ke dekhte hain  hain,


suna hai us ki syah chashmagi qayamat hai,
so usko surmah faroosh aah bhar kay dekhtay hain,

Suna hai us ke laboun say ghulab jalte hain,
so ham bahar pe ilzam dhar kay daikhte hain,

suna hai aaina tamsaal hai jabeen us ki,
jo saada dil hain use ban sanwar kay daikhte hain,

suna hai us k badan ki tareash aisi hai,
k phool apni kabayen katar kay dekhte hain,

bas ik nigaah main lut’ta hai qaafila dil ka,
so rah rawan e tamanna bhi dar k dekhte  hain,

rukay to ghardishain uska taqaaf karti hain,
chalay to usko zamane theher k dekhte hain,

kahaniyan hi sahi, sab mubalghay hi sahi,
agar yeh khwab hai tabeer hai tabeer kar kay daikhte hain


ab us ke sheher main thehrein ke kooch kar jayen,
Faraz aao sitare safar kay daikhte hain,

No comments:

Post a Comment