Saturday 9 August 2014

chhoot chuki hai rail

Jaa chuke hain sab aur wahi khamoshi chaayi hai,
Pasara hain har oar sannata, tanhai muskurai hai..
Chhoot chuki hai rail,
Chand lamho ki toh baat thi,
kya raunak thi yahaan,
Jaisi Saji koi mehfil khaas thi!!
Ajnabi thae chehre saare,
Phir bhi unse mulaaqaat thi..
Bheji thi kisi ne apnayiyat,
Salam mein woh kya baat thi..
Ek pal thae aap Jaise Kausar,
Ab bachi akeli raat thi…
Chalo ab laut chale yahan sae,
chhoot chuki hai rail
Yeh ab guzari baat thi…
Urte kaghaz,karte bayan,
Inki bhi kisi sae ,
do pal pehle kuch baat thi…
Barr chale kadam,
kanare un pateriyon
kahani jinke roz ye saath thi…
Phir aayegi dooji rail,
phir cheeregi ye sannnata,
jaise zindagi sae phir mulaqat thi…
phir luatenge aur ,
bhari kadmo sae, jaise
koi gehri see baat thi.
Chhoot chuki hai rail,
Ab sirf kaali syaha raat thi.

No comments:

Post a Comment