Tuesday 5 August 2014

Mera Kya Kasoor


Nigahein teri katilana hain
Is mein mera kya kasoor,
Khubsurat tu bepanah hai
Deewana main ho raha hoon
Is mein mera kya kasoor,
Dekhti ho jis ada se mujhko
Pyar tumse karne laga hoon
Apni nigahon ko tujhe dekhne se rok na paaoon
Is mein mera kya kasoor,
Dil kahta hai kahin aur chal
Par kadam teri ore khud hi badh jayein agar
Is mein mera kya kasoor,
Khwab bhi pareshan hain
Neend bhi hairan hai
Mere sapnon mein ap roz roz agar tum aao
Is mein mera kya kasoor,
Jab bhi likhta hoon kavita koi
Apne ap dil ki kahani likh jati hai ye meri kalam
Itna yaad agar tum aao
Is mein mera kya kasoor,
Sahme sahme labon se bolna
Shuru kr dia hai tumse
Par ye zuban sirf pyar ke dhai akshar
Agar tumse kahna chahe
Is mein mera kya kasoor.

No comments:

Post a Comment