Tuesday 5 August 2014

Kahan Chale Gaye Tum


Choti si bat ko dil pe laga ke kahan chale gaye tum,
Kuch to kaha hota humse bin kuch kahe kahan chale gaye tum,
Ladte the jhagadte the par pyar to tha,
na mauka diya humko koi,
aise tanha chod ke humko kahan chale gaye tum,
Roothne ke manane ke jo mausam aate the pal pal,
un pyar bhare mausamon ko chod ke kahan chale gaye tum,
Kya gunah kiya kya khata hui,
itna to kaha hota,
yun tanhaiyon mein kaid humko kar kahan chale gaye tum,
Paas aa jao, bin tumhare ashq bahte hain har pal hamare,
chod hazaron gam ke aansu palkon mein hamari,
yoon bin kuch kahe kahan chale gaye tum.

No comments:

Post a Comment