Tuesday 10 April 2012

wo char din


wo sath beete hue wo char din,
jane kaise kate wo char din,
bhulkar apne-apne gam sare,
khushiyo ki talash me ek-dusre ko pate hue wo char din,
jane kaise kate wo char din................................
beparwah aankhein jab dhundi tumhara chehra,
in aankhon bhi kaha shayad yahi mera aaina hai,
mushkil tha tumse der tak najre milana,
un sukhi aankhon se kisi ko niharte hue wo char din,
jane kaise kate wo char din.................................
mera jo tumse milne ke liya jana,
milkar bhi kisi waqt tumko apne sath na pana,
phir tute mere dil ko manane tumhara ghar tak aa jana,
wo bujhe hue dil me roshni liye hue wo char din,
jane kaise kate wo char din.................................
mandir me sath waqt ka yun gujar jana,
loute waqt dono ka dosti ka hath milana,
un hathon me mehndi se nam ka likhana,
phir un hathon se chhutkar dono ka do dishayo me bichhad jana,
un suni veeran galiyo me chahalkadmi ke wo char din,
jane kaise kate wo char din.................................
yun to zindagi hoti hai char din ki,
kash ye char din hi meri zindagi hoti,
ye meri zindagi ke haseen tohfe ke wo char din,
wo sath beete hue wo char din,
jane kaise kate wo char din.......

No comments:

Post a Comment